| Author |
Message |
Syed VIP Member
Joined: 18 May 2007 Posts: 2893
|
Posted: Wed Aug 08, 2007 11:48 am Post subject: |
|
|
hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle
ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle
ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle
kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle
hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle
ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle
ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle
bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha hi rawaan thay pehle
dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle |
|
| Back to top |
|
 |
Syed VIP Member
Joined: 18 May 2007 Posts: 2893
|
Posted: Wed Aug 08, 2007 11:51 am Post subject: |
|
|
hur zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein
tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhooN se laga laite hein |
|
| Back to top |
|
 |
Khamosh-Saya Guest
|
Posted: Sun Aug 19, 2007 9:00 pm Post subject: |
|
|
Zabt Lazim Hay Magar Dukh Hay Qayamat Ka Faraz
Zaalim Ub Kay Bhi Naa Royee Gaa To Mar Jayeee Gaa !!!
hawa e dard chali aur us ki yaad aai
lo phir se shaam dhali aur us ki yad aai
kissi ne chupkay se aa k hamain yun thaam lia
nazar' nazar se chali aur us ki yaad aai
zara se hont hilay thay k ashq beh niklay
phir aik chup si lagi aur us ki yaad aai
kissi k paoon ki aahat se dil dharaknay laga
kissi ki zulf khulli aur us ki yaad aai
kissi ki baaton ki baarish mai ham bhi bheeg gae
kissi ne baat na ki aur us ki yaad aai
phir us k zikar pe baadal umadd umadd aaye
ghatta yun zor se barsi aur us ki yaad aai
ik aik shair pe har chasham e aashna ne kaha
ghazal hassan ki suni aur us ki yaad aai |
|
| Back to top |
|
 |
talu e ashk Special Member

Joined: 29 May 2007 Posts: 1986 Location: Nowhere
|
Posted: Sun Aug 26, 2007 1:17 pm Post subject: |
|
|
Tu yahin haar gaya aye mere buzdil dushman
Mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla
Main ke Shehra e Muhabbat ka musafir tha Faraz
Aik jhonka tha ke khushbu ke safar par nikla! _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
vicky VIP Member
Joined: 17 Aug 2007 Posts: 11052 Location: Karachi-Pakistan.
|
Posted: Fri Aug 31, 2007 2:59 pm Post subject: |
|
|
| bohaat khoob my fav poet ki poem nice work syed and saya bhai |
|
| Back to top |
|
 |
Rooh E BisMil Special Member

Joined: 07 May 2007 Posts: 1573 Location: Tehreeron main
|
Posted: Thu Sep 06, 2007 3:18 pm Post subject: |
|
|
| Khamosh-Saya wrote: | Zabt Lazim Hay Magar Dukh Hay Qayamat Ka Faraz
Zaalim Ub Kay Bhi Naa Royee Gaa To Mar Jayeee Gaa !!!
hawa e dard chali aur us ki yaad aai
lo phir se shaam dhali aur us ki yad aai
kissi ne chupkay se aa k hamain yun thaam lia
nazar' nazar se chali aur us ki yaad aai
zara se hont hilay thay k ashq beh niklay
phir aik chup si lagi aur us ki yaad aai
kissi k paoon ki aahat se dil dharaknay laga
kissi ki zulf khulli aur us ki yaad aai
kissi ki baaton ki baarish mai ham bhi bheeg gae
kissi ne baat na ki aur us ki yaad aai
phir us k zikar pe baadal umadd umadd aaye
ghatta yun zor se barsi aur us ki yaad aai
ik aik shair pe har chasham e aashna ne kaha
ghazal hassan ki suni aur us ki yaad aai |
Wah Wah
My Fav.... _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
Khamosh-Saya Guest
|
Posted: Tue Sep 11, 2007 11:10 am Post subject: |
|
|
| Thanks Aafi bhai |
|
| Back to top |
|
 |
Umeed VIP Member

Joined: 07 May 2007 Posts: 1471 Location: Karachi
|
Posted: Tue Sep 11, 2007 12:57 pm Post subject: |
|
|
Bohooooooooooooooot Khuuuuuuuuuuub _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
Rooh E BisMil Special Member

Joined: 07 May 2007 Posts: 1573 Location: Tehreeron main
|
Posted: Sat Sep 29, 2007 8:59 pm Post subject: |
|
|
Urdu Fonts @ Edited by ED _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
Rooh E BisMil Special Member

Joined: 07 May 2007 Posts: 1573 Location: Tehreeron main
|
Posted: Sat Sep 29, 2007 9:00 pm Post subject: |
|
|
Suna hai log usay ankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuch din Thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se
So apne aap ko barbaad kar k dekhtay hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf
So ham bhi mojaze apane hunar k dekhtay hain
Suna hai bolay to baatoon se phol jhaartay hain
Ye baat hai to chalo baat kar k dekhatay hain
Suna hai raat use chaand taktaa rahataa hai
Sitaare baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us kii Gazal se aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko use titaliyaan satati hain
Suna hai raat ko jugno Thehar k dekhtay hain
Suna hai raat say barr kar hain kaakulain us ki
Suna hai shaam ko saayay guzar k dekhtay hain
Suna hai us ke siyaah chashmagi qayaamat hai
So us ko surmaafarosh aankh bhar k dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So ham bahaar par ilzaam dhar k dekhtay hain
Suna hai aainaa tamasaal hai jabiain us ka
Jo saada dil hain ban saanvar k dekhtay hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaaj or hi laal-o-gohar k dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tasawar say dasht-e-imkaan main
Palang zaave us ki kamar k dekhtay hain
Suna hai us ke badan ke taraash aise hain
K phol apani qabaayen katar k dekhtay hain
Wo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahi
K us shajar pe shagoofay samar k dekhtay hain
Bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil ka
So rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar k dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se mutasil hai bahisht
Makeen udhar k bhi jalvay idhar k dekhte hain
Rukay to gardishain us kaa tawaaf karati hain
Chalay to us ko zamaanay Thehar k dekhtay hain
Kahaaniyaan hain sahi sab mubaalagay hi sahi
Agar wo Khuwaab hai taber kar k dekhtay hain
Ab us ke shahar main Theharein ki kuch kar jayein
'Faraz' aao sitaare safar k dekhtay hain.. _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
Rooh E BisMil Special Member

Joined: 07 May 2007 Posts: 1573 Location: Tehreeron main
|
Posted: Sat Sep 29, 2007 9:01 pm Post subject: |
|
|
Ye meri Gazalain ye meri nazmain Tamaam teri hikaayatain hain
ye tazkiren terii lutf ke hain ye sher teri shikaayatain hain
main sab teri nazar kar rahaa hon
ye un zamaanon ki s'ate.n hain
jo zindagi ke naye safar men tujhe kisi roz yaad aayen
to ek ek harf ji uthegaa pahan ke anfaas ki qabaayen
udaas tanahaayeyon ke lamhon men naach uthengii ye apsaraayen
mujhe terii dard ke alaavaa bhi or dukh the,
ye janta hon
hazaar Gam the jo zindagii ki talaash men the,
ye janta hon
mujhe Khabar hai ki terii anchal men dard kii ret chaantaa hon
magar har ek baar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hinaa bani hai
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hain ye aahen-sozaan ghaTaa bani hai
ye dard mauj-e-sabaa hua hai ye aag dil kii sadaa bani hai
or ab ye saarii mataa-e-hastii ye phul ye zaKhm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke nagmen
jo kal mere the o ab tere hain
jo teri qurbat teri judayee men kaT gaye roz-o-shab tere hain
wo teraa shaayar teraa muganii vo jis kii baaten ajib see thii
wo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the or adaayen Garib see thii
wo jis ke jiine kii Khuwaahishen bhii Khud us ke apne naseeb see thi
na pochh us ka ki wo diivaanaa bahut dinon kaa ujar chukaa hai
wo kohakan to nahi thaa lekin kari chatanon se lar chukaa hai
wo thak chukaa hai or us kaa teshaa usii ke siine men gar chukaa hai..!! _________________
 |
|
| Back to top |
|
 |
Still-Alive Advance Member

Joined: 25 May 2007 Posts: 886 Location: Lahore
|
Posted: Tue Oct 02, 2007 2:34 pm Post subject: |
|
|
dukh fasaanaa nahin ke tujh se kahain
dil bhii maanaa nahin ke tujh se kahain
aaj tak apani bekalii kaa sabab
Khud bhi jaanaa nahin ke tujh se kahain
ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahin ke tujh se kahain
be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahin ke tujh se kahain
ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahin ke tujh se kahain |
|
| Back to top |
|
 |
vicky VIP Member
Joined: 17 Aug 2007 Posts: 11052 Location: Karachi-Pakistan.
|
Posted: Sat Oct 20, 2007 8:29 pm Post subject: |
|
|
| still bhai and rooh ji jawab nahi app ki posting ka nice sharing |
|
| Back to top |
|
 |
Khamosh-Saya Guest
|
Posted: Tue Nov 13, 2007 4:14 pm Post subject: |
|
|
Kiya hi baat hai app ki Aafi bhai
Great Maza aa giya
Kamal ki Poetry hai |
|
| Back to top |
|
 |
Khamosh-Saya Guest
|
Posted: Tue Nov 13, 2007 4:18 pm Post subject: |
|
|
barha mujh say kaha dil ne k ayee sho'bda gar
tu k alfaaz say aznaam geeri karta hai
kabi us hus_ne_dil araa ki bhi tasveer bana
jo tere sochoon k khakoon main lahoo bharta hai
barha dil ne ya awaz soni or chaha
maan lo mujh say jo wajdan mera kehta hai
lakin us ajeez say haara meray fun k jadoo
chand ko chand say bar kar kohe kya kehta hai..........!!!
Ahmad Faraz...............!!!! |
|
| Back to top |
|
 |
|